Nikah Hamare Nabi (ﷺ) ki Sunnat hai

Nikah Nabi (ﷺ) ki Sunnat hai

Noor-E-Mujassam, Rasool-E-Khuda, Habeeb-E-Kibriya,Nabi-E-Rehmat, Shafa-E-Mehshar, Fakhar-E-Do aalam, Fakhar-E-Bani-E-Aadam, Malik-E-Do Jahan, Khatmul Ambiya, Rehmatallil Aalamin, Taldare Madina Rahat-E-Kalbo Sina, Janabe Ahmade Mujtaba, Muhammad Mustafa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
"Nikah Meri Sunnat He"
(Ibne Maja, Jild 1, Hadees no 1913, Safa 518)

Allah Rabbul izzat irshad farmata he:
"Aur Nikah me lao jo aurate tumhe khush aaye"
(Tarjuma: Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 3)

Hazrate Sahal bin sa'ad Radiallahu anhu se riwayat he ke Nabi-E-kareem Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
"Nikah karo chahe (Meher dene ke liye) Ek Lohe ki Anguthi hi ho
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 80, Hadees no 136)

Aur irshad farmate he Pyare Madani Aaqa Sallalahu Alayhi Wasallam:
"Bande ne jub Nikah kar liya to Aadha Deen Mukammal ho jata he
Ab baki aadhe ke liye Allah Ta'ala se daro"
(Mishkat sharif, Jild 2, Hadees no 2962, Safa 72)

Hazrat Abdullah Bin Masud Radiallahu Ta'ala Anho Se Riwayat he ke Sarkar Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
"Aye Jawano Jo tum me se Aurato ke Hukooq (Haq) ada karne ki takat rakhta he
To wo Nikah jarur kare Kyunki Nikah Nigah Ko Zukata he
Aur Sharmgah ki hifajat karta he aur Jo iski takat na rakhe to woh Roza Rakhe Kyunki ye Shahwat (Wasna-Sex) Ko kam karta he
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 52, Tirmizi sharif, Jild 1, Safa, 533)

Post a Comment

Previous Post Next Post