Ladki ki Pyar Aur Muhabbat se parwarish Jannat me le jayegi.


Ladki paida hone par naraz na ho. Ladki ki Pyar wa Muhabbat se parwarish Jannat me le jayegi.



Aaj kal science ne bohot tarakki kar li he. Isika galat istemal kuch log x-rays,sonography ke jariye aurat ke pet me jo bacha ladka he ya ladki jan lete he.
Agar ladki ho to bachcha mar diya jata he.
Ya Allah ! Bohot afsos ki bat he.

Aye imanwalo Allah se daro use humare har kam ki khabar he.
Aise log aulad ke katil aur gunahgar he unhe Roze mehshar saza milegi aur Jannat se mehrum honge.
Ladkiyo ki pyar wa muhabbat se parwarish Maa-Baap ke liye Jannat ka sabab he.
Lihaza Beta aur Beti me koi fark na kare.
Allah hu subko amal ki taufiq ata farmaye
Aameen
(Awwal aakhir durood)


Hazrat Abdullah ibne Abbas radiallaho anhu se riwayat he ki Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jise ladaki ho fir wo use zinda dafan Na kare,Na usko zalil samze aur Na ladke ko us par ahmiyat de to Allah Ta'ala usko Jannat me dakhil karega.
(Abu Dawood,Jild 3,Bab 548,Hadees 1705,Safa 616)

Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jisne apni 1 bhi ladaki ya behen ki parwarish ki aur use sharai aadab sikhaya,unse pyar wa muhabbat se pesh aaya aur unki shadi kardi to Allah Ta'ala use jarur Jannat me dakhil karega.
(Abu Dawood,Jild 3,Bab 578,Hadees 1706,Safa 617)

Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jo log apni bachchiyo ko Pyar wa Muhabbat se parwarish karenge to woh bachchiya unke liye Jahannam se aad ban jayengi.
(Tirmizi sharif,Jild 1,Bab 1279,Hadees 1980,Safa 901)

Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Jisne 2 ladkiyo ki parwarish kiya yaha tak ke wo balig ho gayi to me aur wo Qayamat ke din is tarah karib honge.
Fir Aapne apne 2 ungliyo ko mila kar bataya.
(Muslim sharif)

Madani Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya
Subse bada gunah ye he ki Allah ka kisi ko sharik thehraye.
Fir uske bad ka gunah ye he ki Apni Aulad ko khane,Pine ke khuf se Katla kiya jaye.
(Bukhari sharif,Jild 3,Bab 576,Hadees 939,Safa 345)

Post a Comment

Previous Post Next Post