= ZIna aur shaadi (Marriage) In Roman English =

= ZIna aur shaadi (Marriage) In Roman English =



Zina: Ek mard Ek aisi Aurat se ya Ek aurat ek aise mard se Sohbat/Humbistari kare jiska uske sath Nikah hi na hua ho!!!!

Zina karne wale mard ko zani kaha jata hai aur aurat ko Zaniya kaha jata hai.

Aaqa Alayhissalam ne farmaya:

Jab koi Mard Aur Aurat Zina karta he to Emaan unke sine se nikal karsar par saye ki tarah thahar jata he

[Mukasheftul kuloob safa: 168]

Hazrat Ikrema ne Hazrat Abdullah ibne Abbas رضي الله عنه se pucha Emaan kis tarah nikal jata he? AAP ne farmaya is tarah! Aur apne hath ki ungliya dusre hath ki ungliyo me dali Phir nikal li aur farmaya "Dekho is tarah"

[Bukhari sharif Jild:3, Safa: 614, Hadees: 1713]

Hazrat Abuhuraira wa Ibne Abbas رضي الله عنه se Rivayat he Sakar-E-do aalam صلى الله تعالى عليه واله وسلم ne farmaya

"Momin hote hue to koi Zina kar hi nahi sakta"

[Bukhari Sharif, Jild:3, Safa:614, Hadees: 1714]

saaf saaf matlab hai ki zina karne wala/wali us waqt iman wale nahi hote, aur agar aisi hi halat me maut aajaye tou!! ALLAH ki panah!!!

ALLAH farmata hai Jo shaks Zina karta he use "Asaam" me dala jayega

[Qurane Kareem Para 19, Sure Furkan Aayat 68]

Asaam ke bare me Ulma-E-Deen ne kaha he ki wo Jahannam ka 1 Gaar he jab uska Moonh khola jayega to uski Badbu se tamam jahannami chikh uthenge

[Mukasheftul Kuloob Safa: 167]

Zina karnewale shadi shuda ho to khule Maidan me Pattharo se maar dala jaye aur Gair shadi shuda (Kuwara) ho to 100 kode mare jaye

[Bukhari Sharif Jild Safa:615/615, Hadees:1715]

Post a Comment

Previous Post Next Post